kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati tabiat lakh bahlata hun bahlai nahin jati mohabbat bahs-e-gham ke darmiyan lai nahin jati ye kashti dekh is tufan mein daudai nahin jati musibat apne hathon ishq ki lai nahin jati bhadak uthti hai khud ye aag bhadkai nahin jati mera ek ek nafas karta hai ghammazi mohabbat ki sukut-e-maslahat se shan-e-goyai nahin jati jise main zindagi-e-ishq ka hasil samajhta tha zaban par ab wahi rudad-e-gham lai nahin jati bayan-e-arzu to kya ki un ke samne 'afsun' zaban par shauq ki rudad bhi lai nahin jati