kisi mausam ki wo baaten jo teri yaad karta hun unhin baaton ko phir phir kah dil apna shad karta hun nahin malum mujh par bhi ye ahwal apni zari ka ki main misl-e-jaras kis ke liye fariyaad karta hun ye dil kuchh aaphi ho jata hai band aur aaphi khulta hai na main qaid is ko karta hun na main aazad karta hun jigar jal kar hua hai khak aur tis par main aahon se jo kuchh baqi rahe hai gard so barbaad karta hun ghubar-e-dil ko aab-e-tegh se us ke mila kar main nae sar se imarat dil ki phir buniyaad karta hun mere aabaad dil ko kar kharab us ne kaha hans hans ki main is mulk ka nam ab kharab-abaad karta hun kabhi tere bhi dil mein ye guzarti hai ki main nahaq bhala dil par 'hasan' ke itni kyun be-dad karta hun