tha jahan madrasa-e-shiri-o-shahanshahi aaj in khanqahon mein hai faqat rubahi nazar aai na mujhe qafila-salaron mein wo shabani ki hai tamhid-e-kalimul-lahi lazzat-e-naghma kahan murgh-e-khush-alhan ke liye aah us bagh mein karta hai nafas kotahi ek sarmasti o hairat hai sarapa tarik ek sarmasti o hairat hai tamam aagahi sifat-e-barq chamakta hai mera fikr-e-buland ki bhatakte na phiren zulmat-e-shab mein rahi