kisi nai tarha ki rawani mein ja raha tha charagh tha koi aur pani mein ja raha tha ruka hua tha wo qafila to magar abhi tak ghubar apni hi be-karani mein ja raha tha mujhe khabar thi wo kya karega suluk mujh se so main ba-zahir to khush-gumani mein ja raha tha main tangi-e-dil se khush nahin tha isi sabab se makan se bahar ki la-makani mein ja raha tha tum apni masti mein aan takrae mujh se yak-dam idhar se main bhi to be-dhyani mein ja raha tha teri rukawat se bhi mere panw kaise rukte ki main kisi aur sar-girani mein ja raha tha mere liye ajnabi tha sailab-e-khwab mein wo jo lafz chup-chap mauj-e-mani mein ja raha tha sukhan se bimar kyun na hota main aakhir apne ki lutf sara to khush-bayani mein ja raha tha 'zafar' mere khwab waqt-e-akhir bhi taza-dam the ye lag raha tha ki main jawani mein ja raha tha