kisi nashshe se beshtar to na tha

kisi nashshe se beshtar to na tha
rishta-e-gham bhi mo'atabar to na tha

mere anjam unhen fareb na de
kam-basar tha main kam-nazar to na tha

kam to pahle bhi the na ahl-e-junun
lekin ab tak junun hunar to na tha

apni har khud-supurdagi ki qasam
main jahan tha wo mera ghar to na tha

hum the rahen tarashne ke liye
shamil is farz mein safar to na tha

sae logon ke sar pe kis ne kiye
dur tak ek bhi shajar to na tha

khak par gir ke mit gaya aakhir
ashk phir ashk tha guhar to na tha

wadi-e-marg kyon adam thahri
zindagi se wahan mafar to na tha

waqt ki baat hai miyan 'hairat'
dil lagane mein aisa dar to na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close