nadaniyon ko ek naya rang de diya danista main ne hath tah-e-sang de diya mera khayal tha ye koi nek kaam hai main ne tumhaare dard ko aahang de diya duniya mein aur mujh mein phir ek bar than gai fitrat ne mere hath mein phir chang de diya ai zindagi bas ab mere daman ko chhod de jab tak bana khushi se tera sang de diya patthar hi tha wo jis pe main bikhra tha tut kar logon ne us ko rutba-e-aurang de diya 'hairat' jab apna jadu jagane pe aae hain jine ko hum ne martaba-e-jang de diya