kisi nazar ne mujhe jam par lagaya hua hai so karta rahta hun jis kaam par lagaya hua hai ghalat pade na kahin pahla hi qadam ye hamara ki hum ne aankh ko anjam par lagaya hua hai tamam shahr musharif-ba-kufr ho ke rahega ye jis qimash ke islam par lagaya hua hai laga rakhe hain hazaron hi apne kaam par us ne hamein bhi koshish-e-nakaam par lagaya hua hai pilata rahta hun din-raat apni aankh se pani shajar ye dil mein tere nam par lagaya hua hai wo aur honge jo aaram se guzar rahe hain hamein to us ne kahin lam par lagaya hua hai