hum apne hijr mein apne visal mein gum hain wo sochta hai ki us ke khayal mein gum hain har ek lamha-e-lazzat hisab mangta hai so hum bhi sab ki tarah ek sawal mein gum hain shafaq ki aankh kise ro rahi hai muddat se dyar-o-dasht sabhi kis malal mein gum hain ruton ke daere kyun aaj tak salamat hain tamam silsile kyun mah-o-sal mein gum hain ye chand jhil ke pani se ham-kalam hai kyun kinare kis liye ranj-o-malal mein gum hain