kisi ne kaise nibhai hai aasman se na puchh na puchh tair-e-gum-karda-ashiyan se na puchh sahar baja-e-khud ek dastan na ho jae hikayat-e-shab-e-rafta meri azan se na puchh tere jamal ko mahshar samajh rahe hain log umad ke aai hai khilqat kahan kahan se na puchh jawab aur to mil jaenge sabhi lekin mera qusur hi arbab-e-do-jahan se na puchh laga nuqush-e-qadam ka suragh aap zara ye bagh kis ne ujada hai baghban se na puchh jo khush-bayan hain suna denge yun bhi sab ahwal jo be-zaban ka fasana hai be-zaban se na puchh agarche ishq hai pure wajud ka dushman magar jo dil pe guzarti hai nim-jaan se na puchh har ek nigah pe khulta nahin wo dar 'rahil' udhar ka rasta salar-e-karwan se na puchh