kisi ne pakDa daman aur kisi ne aastin pakDi

kisi ne pakda daman aur kisi ne aastin pakdi
na uttha main hi us kuche se ye main ne zamin pakdi

khuda shahid hai dil par chot si ek lag gai mere
bahana dard-e-sar ka kar ke jab us ne jabin pakdi

siwa un ke na kahna aur se aafat na kuchh aae
na jaane baat meri qasida shayad kahin pakdi

bhala ab mujh se chhutta hai kahin us shokh ka chaska
ye kya hai chhed meri har ghadi ki ham-nashin pakdi

ghazab hain aap bhi main ne to tum se kan pakda hai
hua jab kuchh main kahne ko zaban meri wahin pakdi

ye qismat wasl ki shab subh tak takrar mein guzri
idhar kuchh main ne zid pakdi udhar us ne nahin pakdi

mujhe daswao ek mar-e-siyah se ye saza dije
jafa ki apne sahib ki jo zulf-e-ambarin pakdi

khuda ke fazl se aisi tabiat hai 'nizam' apni
ghazal dam mein kahi fazl-e-khuda se jo zamin pakdi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close