kisi ne puchha jo umr-e-rawan ke bare mein to kya bataenge sud-o-ziyan ke bare mein harim-e-dida-wari khak ud rahi hai meri main jaanti thi ghubar-e-makan ke bare mein na-jaane kaisi guzarti hai jaane walon par koi batata nahin raftagan ke bare mein dua karo ki salamat rahe mera pindar zamin pe sochti hun aasman ke bare mein na-jaane kitne harifon ke nam yaad aae main likh rahi thi saf-e-dostan ke bare mein har ek qisse pe dil apna tham tham liya jo waqiat sune dastan ke bare mein yaqin kar ki abhi tak hai dil ko tujh pe yaqin ye husn-e-zan hai kisi bad-guman ke bare mein fareb-e-sada-dili dekh us sitamgar ne bayan raaz kiya raaz-dan ke bare mein