kisi ne raat kaha us ki dekh kar surat ki main ghulam hun is shakl ka bahar-surat hain aaine ke bhi kya talea ab sikandar wah ki us nigar ki dekhe hai har sahar surat ajab bahaar hui kal to waqt-e-nazzara jo main idhar ko hua us ne ki udhar surat udhar ko jab main gaya us ne li idhar ko pher phira main us ne firai jidhar jidhar surat hazaron phurtiyan main ne to kin par us ne 'nazir' na dekhne di mujhe apni aankh-bhar surat