sab mera aab-e-rawan kis ke ishaaron pe baha jata hai aur ek shahr mere donon kinaron pe basa jata hai mauj mein aate hi lag jati hai honthon pe badan ki mitti aur is zaiqa-e-ghair se sab mera maza jata hai ahl-e-iman idhar aaraish-e-masjid mein lage hain aur udhar apna saman uthae hue masjid se khuda jata hai koi mujh jaisa hi roz aata hai aankhon mein liye sabza-e-dasht ek hara khat dar-o-diwar ko deta hai chala jata hai chalti hai aaine mein kitne zamanon ki hawa-e-hairat ek rang aata hai chehre pe to ek rang uda jata hai meri ek umr aur ek ahd ki tarikh raqam hai jis par kaise rokun ki wo aansu meri aankhon se gira jata hai chaak karna hi gareban ka sikhaya hai junun ne mujh ko main ne sikha hi nahin kaise gareban ko siya jata hai 'farhat-ehsas' ne dekha hai falak par kahin ek khitta-e-khwab bech dali hai tamam arz-e-badan us ne suna jata hai