kisi nigah kisi dil talak nahin pahunche rahe safar mein jo manzil talak nahin pahunche junun abas hai jo maqtal talak nahin laya wo sar hi kya hain jo qatil talak nahin pahunche bhanwar ki chah mein gharqab hum hue to kya safine kitne hi sahil talak nahin pahunche shikast-o-fath ki lazzat se tum nahin waqif abhi to tum kisi mushkil talak nahin pahunche unhin ko dawa hai basti mein dast-giri ka wo dastgir jo sail talak nahin pahunche hain sach ke aaine jitne bhi tut jaenge hamare hath jo baatil talak nahin pahunche hamare dard ke qisse hain fard-e-farda bhi raqam na ho sake mahfil talak nahin pahunche