kisi ki bewafai par bahut socha nahin karte chalo uttho miyan ab dil ko yun chhota nahin karte chaman-zaron mein rahne ke bhi kuchh aadab hote hain ghalat nazron se phulon ki taraf dekha nahin karte kabhi aisa bhi hota hai safine haar jate hain magar kachche ghade ko chot tak dariya nahin karte khuda jaane jo umren nuh si hotin to kya hota zara si zindagi hai aur hum kya kya nahin karte hamare rahbaron ka hai shumar ab un darakhton mein jo khud shadab rahte hain magar saya nahin karte