kisi sabab se agar bolta nahin hun main to yun nahin ki tujhe sochta nahin hun main main tum ko khud se juda kar ke kis tarah dekhun ki main bhi tum hun, koi dusra nahin hun main to ye bhi tai! ki bichhad kar bhi log jite hain main ji raha hun! agarche jiya nahin hun main kisi mein koi bada-pan mujhe dikhai na de khuda ka shukr ki itna bada nahin hun main meri uthan ki har int main ne rakkhi hai main khud bana hun! banaya hua nahin hun main yahan jo aaega wo khud ko haar jaega qimar-khana-e-jaan mein naya nahin hun main mere wajud ke andar mujhe talash na kar ki is makan mein aksar raha nahin hun main main ek umr se khud ko talashta hun magar mujhe yaqin nahin, hun bhi ya nahin hun main main ek guman ka imkan hun 'iftikhar'-mughal ki ho to sakta hun lekin hua nahin hun main