jo apni khwahishon mein tu ne kuchh kami kar li to phir ye jaan ki tu ne payambari kar li tujhe main zindagi apni samajh raha tha magar tere baghair basar main ne zindagi kar li pahunch gaya hun main manzil pe gardish-e-dauran thahar bhi ja ki bahut tu ne rahbari kar li jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi mere kisanon ne shahron mein naukri kar li jo sachchi baat thi wo main ne barmala kah di yun apne doston se main ne dushmani kar li mashini ahd mein ehsas-e-zindagi ban kar dukhi dilon ke liye main ne shaeri kar li gharib-e-shahr to faqe se mar gaya 'arif' amir-e-shahr ne hire se khud-kushi kar li