kisi safar kisi asbab se ilaqa nahin tumhaare baad kisi khwab se ilaqa nahin hamare ahd ki diwangi hamin se hai hamare asr ko mahtab se ilaqa nahin magar ye khwab agar khwab hain to kaise hain ki jin ko dida-e-be-khwab se ilaqa nahin har ek saz ko sazindagan nahin darkar badan ko zarbat-e-mizrab se ilaqa nahin