kitne hi faisle kiye par kahan ruk saka hun main aaj bhi apne waqt par ghar se nikal pada hun main abr se aur dhup se rishta hai ek sa mera aaine aur charagh ke bich ka fasla hun main tujh ko chhua to der tak khud ko hi dhundta raha itni si der mein bhala tujh se kahan mila hun main khushbu tere wajud ki ghere hue hai aaj bhi tere labon ka zaiqa bhul nahin saka hun main aayaton jaise na-gahan jawedan lams ki qasam tere achhute jism ka pahla mukalima hun main waise to mera daera pura nahin hua abhi aisi hi koi qaus thi jis se juda hua hun main jitni bhi tez dhup ho shakhen hain mehrban teri chhanw parai hi sahi sans to le raha hun main