kisi se bas ki umid-e-kushud-e-kar nahin mujhe ajal ke bhi aane ka e'tibar nahin jawab name ka qasid mazar par laya ki jaanta tha use tab-e-intizar nahin ye kah ke uth gai baalin se meri sham-e-sahar tamam ho gai shab aur tujhe qarar nahin jo tu ho pas to hur-o-qusur sab kuchh ho jo tu nahin to nahin balki zinhaar nahin khizan ke aane se pahle hi tha mujhe malum ki rang-o-bu-e-chaman ka kuchh e'tibar nahin ghazal kahi hai ki moti piroe hain ai 'nazm' wo kaun sher hai jo durr-e-shahwar nahin