kisi se ishq karna aur us ko ba-khabar karna hai apne matlab-e-dushwar ko dushwar tar karna nahin hai maut par bhi ikhtiyar ai wa-e-majburi umid-e-marg mein mushkil basar karna magar karna qafas mein qaid karna tha to baal-o-par katarne the sitam hai baal-o-par rakhte hue bhi yun basar karna jo par the maya-e-parwaz hain wajh-e-giran-bari ghurur-e-baal-o-par karna to mujh ko dekh kar karna bana kar jaur ka khugar inayat ki nazar karna jafa kar shauq se tu zabt par mere na ja hargiz shikayat kya mujhe ye kaam hai jab umr bhar karna jafa un ki wafa-parwar wafa meri jafa-parwar wo un ko umr bhar karna ye mujh ko umr bhar karna sar-e-rah puchhte hain haal kya kahiye ki mushkil hai bayan-e-dard-e-dil karna aur us ko mukhtasar karna tawajjoh chaaragar ki bais-e-taklif hai 'bekhud' izafa hai musibat mein dawaon ka asar karna