khayal-o-khwab se niklun zuhur tak dekhun safar ke daere todun ubur tak dekhun mere liye hain ye haft-asman-o-haft-zamin to kis liye tere jalwe main tur tak dekhun samajh saka hun tujhe bas shuur ki had tak ye fikr hai ki tujhe la-shuur tak dekhun ragen chatakh gain rishton ki shorishen kaisi sada lahu ki jo aae to dur tak dekhun ulajh na jaun kahin reshmi khayalon mein tera 'jamal' pas-e-rang-o-nur tak dekhun