kisi se un ki jafaon ka tazkira na karo hazar zulm wo dhaen magar gila na karo har ek lamha guzarta hai ek sadi jaisa talluqat badha kar juda raha na karo meri hayat ko nisbat bas ek tumhin se hai tum apne sath hi rakkho mujhe juda na karo tabahi tum ne to khud mol li hai ahl-e-chaman kisi se apni tabahi ka ab gila na karo wo sab ke dil ki talab se hain ba-khabar 'nayyar' tum un ki bazm mein izhaar-e-muddaa na karo