kyon tajjub hai ki un ke sath diwane gae shama jis jaanib gai us samt parwane gae shaikh kitne parsa hain aaj pahchane gae din to masjid mein guzara raat maikhane gae jab hamein dar-o-rasan ki god mein nind aa gai tab kahin hum ishq ki duniya mein pahchane gae un safinon ke tasadduq un safinon ko salam chhod kar sahil jo tufanon se takrane gae azmat-e-diwangi hum ne kahan zahir na ki dar par bhi hum to is parcham ko lahrane gae kar diya badnam 'nayyar' ishq ke jazbaat ne meri ulfat ke zamane bhar mein afsane gae