kisi se wasl mein sunte hi jaan sukh gai chalo hato bhi hamari zaban sukh gai ek aah-e-garm ne jhulsae khosha-e-anjum tamam kheti teri aasman sukh gai qayamat aur wo hangama phir qayamat ka lahad se uthte hi dhadkon se jaan sukh gai raha na baad mere hae koi aabla-pa pukarte hain ye kante zaban sukh gai shab-e-firaq ka aadha nahin raha tan-o-tosh ye mere ghar jo hui mehman sukh gai mila bhi hum ko to be-waqt is tarah khana ki chawal ainth gae aur nan sukh gai bahut hi phuli hui thi ye apni rangat par jo dekha rang mera zafran sukh gai hawa-e-garm khizan mein wo rang-o-rup kahan thi andalib yunhi dhan-pan sukh gai 'riyaz' yaad hai un ka visal mein kahna khuda ke waste chhodo zaban sukh gai