tut gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya sang-o-kulukh rah gae lahar gai bhanwar gaya wo bhi ajib daur tha dil ka chalan hi aur tha sham hui to ji utha subh hui to mar gaya kis ke bandhe hue the hum daman-e-mahtab se hum bhi udhar udhar gae chand jidhar jidhar gaya kitne rafiq-o-ham-safar jin ki mili na kuchh khabar kis ke qadam uthe kidhar kaun kahan pasar gaya bujh gai raunaq-e-badan ud gaya rang-e-pairahan jaan umid-war-e-man waqt bahut guzar gaya