kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti

kisi surat adu ki tark-e-ulfat ho nahin sakti
hamare haal par teri inayat ho nahin sakti

kabhi tere siwa dil dusre par aa nahin sakta
kisi par ab meri mail tabiat ho nahin sakti

bani hai mohr-e-lab paiham mohabbat us sitamgar ki
bayan ab dastan-e-dard-e-furqat ho nahin sakti

ilahi mera dil us sang-dil ka dil to ban jae
meri taqdir gar dushman ki qismat ho nahin sakti

ye ho sakta hai duniya bhar ko chhodun teri khatir se
raqib-e-ru-siyah ki mujh se minnat ho nahin sakti

tasawwur mein bhi tum bar-e-nazakat se nahin aate
tumhaare wasl ki ab koi surat ho nahin sakti

khuda ki shan hai ishq-e-adu mein rote phirte hain
jo kahte the kabhi tasir-e-ulfat ho nahin sakti

ghulaya zoaf ne aisa firaq-e-yar mein mujh ko
tasawwur mein bhi qaem meri surat ho nahin sakti

hijab aata hai tujh ko dushman-e-mehr-o-wafa kahte
kisi parde mein ab teri shikayat ho nahin sakti

'farogh'-e-nayyar-e-taqdir zau-bakhsh-e-tamanna hai
shab-e-wasl-e-sitamgar sham-e-furqat ho nahin sakti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close