rang dekha teri tabiat ka

rang dekha teri tabiat ka
ho chuka imtihan mohabbat ka

yahi naqsha raha jo furqat ka
but bana lenge teri surat ka

na milo tum gale raqibon se
khun hota hai meri hasrat ka

teri raftar ne nishan diya
nam sunte the hum qayamat ka

dekhta hun pari-jamalon ko
mujh ko lapka hai achchhi surat ka

milti-julti hai zulf-e-shab-gun se
kya muqaddar hai sham-e-furqat ka

teri thokar ke aage o zalim
panw jamta nahin qayamat ka

wo mere haal par tere altaf
wo zamana teri mohabbat ka

sun ke dushman ki baat pi jaun
muqtaza ye nahin hai ghairat ka

wo bigadte hain mujh se ban ban kar
rang-e-rukh rang hai tabiat ka

jaante hain 'farogh' ko hum bhi
ek yahi shakhs hai murawwat ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close