kisi surat nazar ki fitna-samani nahin jati

kisi surat nazar ki fitna-samani nahin jati
bujhe jate hain dil chehron ki virani nahin jati

khuda ka nam lene ko to lete hain sabhi lekin
khuda ki baat duniya mein kahin mani nahin jati

mere chehre ke khadd-o-khal kya pahchanta koi
ki khud apni hi surat mujh se pahchani nahin jati

haqiqat khud-ba-khud raushan hui hai sat pardon se
dalilon se misalon se kabhi jaani nahin jati

agarche is mein lakhon hasraton ke phul khilte hain
magar phir bhi hamare dil ki virani nahin jati

nizam-e-maikada badla nae saqi nai sahba
magar kyon phir bhi logon ki pareshani nahin jati

junun ki manzilon tak kis tarah 'parwez' pahunchoge
agar dasht-e-khirad ki khak bhi chhani nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close