kyon KHauf sa aata mujhe diwar se dar se

kyon khauf sa aata mujhe diwar se dar se
wo tuta makan achchha tha is kanch ke ghar se

kuchh log andhere mein chale jaanib-e-manzil
hum ghar se nikalte hi nahin dhup ke dar se

deta hi nahin sath bade waqt mein koi
jhad jate hain patte bhi khizan mein to shajar se

sachchai ka dawa jo kiya karte the har dam
wo log bhi khamosh rahe maut ke dar se

afsos bahut hai ki ye pura nahin utra
ummid bahut rakhi thi duniya ne bashar se

khud mit ke zamane ko ujala hi diya hai
sikha hai sabaq hum ne yahi sham-e-sahar se

jis ko na koi ranj koi gham na mila ho
guzra hi nahin aisa bashar meri nazar se

tum waqt pe 'parwez' har ek jabr ko roko
pani na nikal jae kahin dekhna sar se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close