kisi takhliq ke paikar mein aana chahta hun tasawwur hun kahin apna thikana chahta hun mujhe tahsin ki jab koi khwahish hi nahin hai to apne sher kyun tujh ko sunana chahta hun mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai tujhe ai zindagi main walihana chahta hun isi khatir to ye sinf-e-sukhan main ne chuni hai ki jo mahsus karta hun batana chahta hun mere in khushk honton ko zara namnak kar de main apni pyas ki shiddat chhupana chahta hun tabhi to 'shad' palkon par saja rakkha hai un ko main apne khwab duniya ko dikhana chahta hun