koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha shayad ki apni rah mein hail bhi main hi tha apne hi gird main ne kiya umr bhar safar bhatkaya mujh ko jis ne wo manzil bhi main hi tha ubhra hun jin se bar-ha mujh mein the sab bhanwar duba jahan pahunch ke wo sahil bhi main hi tha aasan nahin tha sazishen karna mere khilaf jab apni aarzuon ka qatil bhi main hi tha shab bhar har ek khayal mukhatib mujhi se tha tanhaiyon mein raunaq-e-mahfil bhi main hi tha duniya se be-niyazi bhi fitrat meri hi thi duniya ke ranj o dard mein shamil bhi main hi tha mujh ko samajh na pai meri zindagi kabhi aasaniyan mujhi se thin mushkil bhi main hi tha mujh mein tha khair o shar ka ajab imtizaj 'shad' main khud hi haq-parast tha baatil bhi main hi tha