kisi tez jhonke ke sang thi meri odhni kabhi sar pe thi kabhi ud gai meri odhni wo jo zakhm-khurda si wahshaten thi nigah mein unhen apne pallu se jodti meri odhni koi saeban jo dua sa tha meri rah mein wo nahin raha to kahan rahi meri odhni wo sambhal sambhal ke utha rahi hai har ek qadam meri ladli ne jo odh li meri odhni jo mere nasib ke khwab the wo sarab the unhi mausamon mein rachi-basi meri odhni na kasak rahi na chasak rahi na hi hairaten wo badal gaya to badal gai meri odhni