lakh rahe shahron mein phir bhi andar se dehati the dil ke achchhe log the lekin thode se jazbaati the ab bhi aksar khwab mein un ke dhundle chehre aate hain meri gudiya ki shadi mein jo nanhe baraati the apne gird lakiren khinchen aur phir un mein qaid hue is duniya mein khel the jitne sare hi tabqati the jhonpadiyon mein rahne wale un ki fitrat jaan gae kabhi kabhi chadh aane wale nale jo barsati the jis baadal ne sukh barsaya jis ki chhanw mein prit mili aankhen khol ke dekha to wo sab mausam lamhati the jin ko bada mana tha main ne 'farhat' wo kyun bhul gae kuchh goshe mere jiwan ke bilkul mere zati the