kisi wahshat mein phir aabaad hona chahta hun main us ki qaid se aazad hona chahta hun purani shakl surat gar malamat ban gai hai nai mitti se phir ijad hona chahta hun kisi ke hijr mein hairat-kade aabaad dekhun kisi ke wasl mein barbaad hona chahta hun use bhi apni banhon mein tadapta dekhna hai main us ka said tha sayyaad hona chahta hun usi khushbu se phir ham-khwab hone ki hawas hai usi khush-wasl se dil-shad hona chahta hun ab apni zat ke zindan mein bhi dam ghut raha hai koi dam khud se bhi aazad hona chahta hun