kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain tere takiye ke niche bhi hamare khwab rakkhe hain makan to satah-e-dariya par banae hain hobabon ne asase ghar ke lekin sab ne zer-e-ab rakkhe hain ye kankar un se pahle hath par lahren bana lega hamari rah mein chahat ne jo talab rakkhe hain kinaron par pahunch kar tairne lagti hain taswiren samundar ne safine to pas-e-girdab rakkhe hain hamare ghar ki buniyaadon ke patthar kya hue aakhir kahin tufan ke tukde kahin sailab rakkhe hain tere aane se pahle jin ko murjhane ki jaldi thi wahi patte hawa-e-hijr ne shadab rakkhe hain