kitab-e-dil ke waraq jo ulaT ke dekhta hai

kitab-e-dil ke waraq jo ulat ke dekhta hai
wo kaenat ko auron ko hat ke dekhta hai

agar nahin hai bichhadne ka ranj kuchh bhi use
wo bar bar mujhe kyun palat ke dekhta hai

nadi badhi ho ki sukhi har ek surat mein
kinara apne hi pani se hat ke dekhta hai

kisi ko tirgi pagal na kar sake jab tak
kahan charagh ki lau se palat ke dekhta hai

na ho sakenge kabhi us ke zehn-o-dil raushan
waraq waraq jo kitabon ko rat ke dekhta hai

usi pe khulti hain duniya ki wusaten 'shahid'
jo apni zat mein har pal simat ke dekhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close