yun nikalti hai meri baat dahan se us ke jaise barson ka taaruf ho badan se us ke yun sar-e-bazm mila tut ke ek umr pe wo hum bhi ghabra gae be-sakhta-pan se us ke us ka lahja hai ki bahti hui naghmon ki nadi jaise ilham ki barish ho sukhan se us ke us se mil ke bhi khala ab bhi wahi ruh mein hai mutmain dil bhi nahin sarw-o-saman se us ke khilqat-e-shahr ne afsane tarashe kya kya dil tahi-dast hi lauta hai chaman se us ke is tarah shahr salibon se sajaya us ne koi mahfuz nahin dar-o-rasan se us ke dekhna kis ke lahu se hai charaghan maqtal ek ugta hua suraj hai kafan se us ke