kitab-e-ishq mein sara bayan visal ka hai main zinda hijr mein hun aur guman visal ka hai hum aise farq-e-talluq se khud bhi hairan hain zamin hai hijr ki aur aasman visal ka hai ajab tazad ke pesh-e-nazar hun hasti mein hai dhup hijr ki aur saeban visal ka hai hai jagne pe hi padta tamam chabuk-e-hijr hon aankhen band to sara saman visal ka hai chalo ye hijr sahi kuchh to dastaras mein rahe jo waqt aata hai wo bhi kahan visal ka hai gharaz se chup hain magar ahl-e-dil samajhte hain ki lafz-e-hijr se raushan-bayan visal ka hai kashid karte hain irfan apne hijr se 'tur' ye khitta chhod ke sara jahan visal ka hai