dil se har dam hamein aawaz laga aati hai band kanon ko bhi girye ki sada aati hai dil se hai aankh tak aai asar-e-garmi-e-shauq ashk-e-hasrat se nigah aabla-pa aati hai gul hua koi charagh-e-sahari o bulbul hath malti hui patton se saba aati hai teri aankhon ka hun bimar main o isa-dam na dua aati hai mujh ko na dawa aati hai aaina saf sikandar ko dikhaya tu ne khub ai khizr tujhe rah bana aati hai chhu liya dhoke se daman-e-saba tu ne to kya ghuncha-e-gul kahin mutthi mein hawa aati hai jis qadar wasl-e-butan ka tumhein rahta hai firaq ai 'nasim' itni kabhi yaad-e-khuda aati hai