kitab-e-waqt mein sachchi ibarat main likhunga

kitab-e-waqt mein sachchi ibarat main likhunga
munafiq jo nahin likhte hain 'shaukat' main likhunga

charagh-o-aina se kaam lunga satr-dar-satr
nae andaz se injil-e-hairat main likhunga

musafir sham ka hun ai meri subh-e-madina
lahu aur ashk se apni hikayat main likhunga

khuda ne ye saadat meri qismat mein likhi hai
ghazal sehra sar-e-ku-e-malamat main likhunga

khudawanda ba-nam-e-admiyyat ek khula khat
khula khat ek ba-nam-e-admiyyat main likhunga

junubi asia ke sabz mustaqbil ki khatir
nai naslon ka ailan-e-mohabbat main likhunga

amir-e-shahr main shair hun darbari nahin hun
tujhe kis ne kaha teri fazilat main likhunga

ghazal ke ahd-nama mein nai satr-e-bashaarat
mohabbat ki nai satr-e-bashaarat main likhunga

mera maslak sana-e-admi karna hai 'shaukat'
sana-e-admi meri ibaadat main likhunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close