mausam aisa ho jata hai manzar aisa ho jata hai dariya bahta dariya logo patthar aisa ho jata hai log gharon mein rahte rahte be-ghar bhi to ho jate hain aksar yun bhi ho jata hai aksar aisa ho jata hai hu-ya-hu ke tar bajen to duniya chham-chham nach uthti hai is lamha to har insan qalandar aisa ho jata hai ek mausam jo aankh ke andar raushaniyan si bhar deta hai aakhir aankh bujha deta hai kafir aisa ho jata hai dard ka mausam jab khulta hai barish aisi ho jati hai dil ka khali sahra sabz samundar aisa ho jata hai nigah hasin agar ho 'shaukat' hur ke jauhar khul jate hain jhut ka chehra ibn-e-sad ke lashkar aisa ho jata hai