kitab-e-zist ke har bab ka unwan naya dekhe har ek bujhte diye ko shauq se pagal hawa dekhe abhi ek kashmakash mein hai mohabbat dil ko kya dekhe khushi dekhe khud apni ya buzurgon ki ana dekhe chalo achchha kiya dil apna halka kar liya tum ne hamein bhi ek muddat ho chali thi aaina dekhe lab-e-sahil hamein maujon ne jab patkha to raste mein bahut se dubte maujon se ladte nakhuda dekhe tilsmati faza thi jab sahar-dam reg-e-sahil par bagule ki tarah raqsan kisi ke naqsh-e-pa dekhe khud apne aap se bhi baat karna chhod rakkha hai jise jina ho tanha wo hamara hausla dekhe 'sadaf' ek umr ke baad aaj hum dil khol kar roe zamana ho chala tha dil ko ye nikhri faza dekhe