hairan aankh khwab-nigar baad mein hui nannhi si aarzu thi amar baad mein hui kis marz-e-la-dawa ne use kar liya asir khud par to chaaragar ki nazar baad mein hui qaid-e-qafas se zindagi pahle hui riha aur raushni si jaanib-e-dar baad mein hui kis dasht-e-be-aman mein luta karwan-e-shauq dil ko to hadse ki khabar baad mein hui kahte hain log us ne kai ghar jala diye wo raushni ki jo mere ghar baad mein hui ranai chusti rahi abr-e-bahaar ki ek chob-e-khushk shakh-e-samar baad mein hui gham to janam janam se mere sath tha 'sadaf' lekin khushi sharik-e-safar baad mein hui