kitab paDhte rahe aur udas hote rahe

kitab padhte rahe aur udas hote rahe
ajib shakhs tha jis ke azab dhote rahe

koi to baat thi aisi ki is tamashe par
hansi bhi aai magar munh chhupa ke rote rahe

hami ko shauq tha duniya ke dekhne ka bahut
hum apni aankhon mein khud suiyan chubhote rahe

bas apne-ap ko pane ki justuju thi ki hum
kharab hote rahe aur khud ko khote rahe

zamin ki tarah samundar bhi tha safar ke liye
magar ye kya ki yahan kashtiyan dubote rahe

hamein khabar na hui aur din bhi dub gaya
chatakhti dhup ka bistar bichhae sote rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close