jo kuchh bhi ye jahan ki zamane ki ghar ki hai rudad ek lamha-e-wahshat-asar ki hai phir dhadkanon mein guzre huon ke qadam ki chap sanson mein ek ajib hawa phir udhar ki hai phir dur manzaron se nazar ko hai wasta phir in dinon faza mein hikayat safar ki hai pahli kiran ki dhaar se kat jaenge ye par izhaar ki udan faqat raat bhar ki hai idrak ke ye dukh ye azab aagahi ke dost! kis se kahen khata nigah-e-khud-nigar ki hai wo an-kahi si baat sukhan ko jo pur kare 'saz' apni shaeri mein kami us kasar ki hai