kitna ajib shahr-e-tamanna dikhai de

kitna ajib shahr-e-tamanna dikhai de
hai itni raushni ki andhera dikhai de

tabir kis se puchhiye us khwab-e-shauq ki
jo khwab dekhiye to adhura dikhai de

ab aam ho chali hai yahi rasm-e-zindagi
har shakhs apne dard ka mara dikhai de

ubhre mere daricha-e-dil se wo chand jab
suraj bhi samne ho to dhalta dikhai de

is shahr-e-arzu mein ajab khush-nazar hain log
bakhshe jo dil ko dard masiha dikhai de

jis anjuman mein sab ki nazar ho teri taraf
us anjuman mein kaun kisi ka dikhai de

kitni ajib chot hai ye dil ki chot bhi
bharne lage jo zakhm wo gahra dikhai de

tujh se alag nahin hai koi rang-e-dil-kashi
har rang tere rang mein dhalta dikhai de

dil mein na ho jo dagh-e-tamanna ki raushni
ai 'badr' zindagi mein andhera dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close