main charagh-e-shab-e-hasti hun ziya kya mangun zinda rahna hai to chalne ke siwa kya mangun tohfa-e-chaak-e-gareban ke siwa kya mangun tujh se ai fasl-e-junun tu hi bata kya mangun main ne chaha hai tujhe apne iradon ki tarah aur main apne iradon ka sila kya mangun phul mein nur nahin chand mein khushbu hi nahin in nazaron se tera husn-e-ada kya mangun kitne aansu hain mere gham ko sajaane ke liye aaj ki raat sitaron se ziya kya mangun apne hi khun mein duba hua paikar hun main main kisi aur se rangin qaba kya mangun zakhm-e-ehsas lahu de to bahaar aati hai ghuncha-e-dil ke liye mauj-e-saba kya mangun meri qismat mein to shayad koi patthar bhi nahin wahshat-e-dil ka kisi se main sila kya mangun dil ka har dagh-e-tamanna hai charagh-e-manzil 'badr' main chand-sitaron se ziya kya mangun