kitna ba-zarf hai wo mere barabar wala khushk aankhon ko diya gham to samundar wala baghbani mein tamam umr ganwa di lekin phul ab tak na khila apne muqaddar wala khwab ki wahshaten qaem rahin shab bhar mujh par dar pe deta hi raha dastaken bahar wala hijr aaseb hai aaseb bhi aisa sahab hausla haar gaya main bhi sikandar wala hum manaenge naya sal teri yaad ke sath zakhm is bar hara hoga december wala qahqahon se to zamana hua mahrum hain lab aur fasane mein mera rol hai joker wala tode jaenge sitam tere tujhi par 'afaq' ek tamasha to abhi aur hai mahshar wala