kitna hushiyar hua kitna wo farzana hua teri masti-bhari aankhon ka jo diwana hua aah ye aalam-e-ghurbat ye shab-e-tanhai ek qayamat hui dhyan aise mein tera na hua ek jahan aaj bhi hai us ke tilismon mein asir sab ka ho kar bhi jo ayyar kisi ka na hua tujh ko apnane ka yara tha na khone hi ka zarf dil-e-hairan isi uljhawe mein diwana hua kaifiyat us ki judai ki na puchho yaro dil tahi ho ke bhi chhalka hua paimana hua hae wo lutf-o-karam us ke sitam se pahle kar ke begana zamane se jo begana hua roz-e-mahshar na banaya shab-e-gham ko hum ne zikr tera hi bas afsana dar afsana hua karb rahat hai kabhi aur kabhi rahat karb ek muamma ye mizaj-e-dil-e-diwana hua ek mahsus qarabat ki wo khushbu-e-badan jis ko chhune ka tasawwur mein bhi yarana hua kaifiyat dard-e-tamanna ki wahi hai ki jo thi tera izhaar-e-wafa bhi dam-e-isa na hua jaane kis jaan-e-bahaaran ki lagan hai ki 'salam' dil sa mamura-e-wahshat kabhi sahra na hua